Tuesday, May 20, 2008

Woh..........

Bazaar me mili thi woh........
Jaane kahan se mere aage aa gayi thi,
ek haath badi bahan ne pakda huya tha,
doosre hath ko uski ma ne pakad rakha tha.
uski ma kuch talaashti huyi chal rahi thi,
badi bahan apni dhun me magan hoke chal rahi thi,
beech me chhote-chhote kadmon se
un dono ke sath chalne ki koshish kar rahi thi woh....
baar-baar mudke mujhe dekh rahi thi
jaane kya tha un aankhon me,
koi sawaal tairta hua,
ya mujhe lekar koi utsukta,
use dekhkar dil me khyal aaya kitna mast hota hai bachpan,
ro dein to kitne hath machal uthte hain aansu ponchhne ko,
girne lagein to kitne hath badh jaate hain thaamne ko,
khil-khila dein to sabke chehron par muskaan aa jaati hai,
chalte-chalte mai uske khyalon me gum ho gayi.........
aur mere khyalon se bekhabar
jaane kis raaste par gum ho gayi woh..........

No comments:

Post a Comment